lag jaye na kahin baddua unhein , yehi soch kar gum-e-dil...

~¤Akash¤~

Prime VIP
lag jaye na kahin baddua unhein ,
yehi soch kar gum-e-dil...
baha sake na ashkon mein hum.

ho jaye na kahin badnaaami unki,
yehi soch kar dard-e-dil...
suna sake na doston ko hum.

ho jaye na kahin shiqayat khudse unhein,
yehi soch kar udasi ko chhupaye
muskurahaat ka hisab odhe rahe hum.

khuda hi na de de saza koi unhein,
yehi soch kar har dua mein
unki salamati mangte rahe hum.

milti hai hum se dur rehne mein khushi unhein,
yehi soch kar is jahaan mein rehte huye bhi...
unke jahaan se dur chale aaye hum.
 
Top