lab-e Khaamosh se

lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
raaz har rang mein rusvaa hogaa

dil ke saharaa mein chalii sard havaa
abr gul_zaar pe barasaa hogaa

tum nahiin the to sar-e-baam-e-Khayaal
yaad kaa ko_ii sitaaraa hogaa

kis tavaqqo pe kisii ko dekhen
ko_ii tum se bhii hasiin kyaa hogaa

ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
duur baiThoge to charchaa hogaa

zulmat-e-shab mein bhii sharmaate ho
dard chamakegaa to phir kyaa hogaa

jis bhii fan_kaar kaa shaahakaar ho tum
us ne sadiyon tumhen sochaa hogaa

kis qadar karb se chaTakii hai kalii
shaaKh se gul ko_ii TuuTaa hogaa

umr bhar roye faqat is dhun mein
raat biitii to ujaalaa hogaa

saarii duniyaa hamen pahachaanatii hai
ko_ii ham-saa bhii na tanhaa hogaa
 
Top