Kyu hai???

$hokeen J@tt

Prime VIP
KYU HAI......


Koi ye kaise bataye ki wo tanha kyu hai...
Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyu hai...
Yahi duniya hai to fir aisi ye duniya kyu hai...
Yahi hota hai to akhir yahi hota kyu hai???

Ik jara haath bada de to pakad le daaman...
Uske seene me sama jaye hamari dhadkan...
Itni jo kurbat hai to fir ye fasla kyu hai...
Yahi hota hai to akhir yahi hota kyu hai???

Dil-e-barbad se nikla nai abtak koi...
Ik lute ghar pe diya karta hai dastak koi...
Aas jo toot gyi fir se bandhata kyu hai...
Yahi hota hai to akhir yahi hota kyu hai???

Tum asrat ka kaho ya ise gam ka rishta...
Kehte hai pyaar ka rishta hai janmo ka rishta...
Hai janmo ka jo ye rishta to badalta kyu hai...
Yahi hota hai to akhir yahi hota kyu hai???
Yahi hota hai to akhir yahi hota kyu hai??? :tear
 
Top