Kya kisi ke paas is sawal ka jawaab hai?

~¤Akash¤~

Prime VIP
Na jaane kyu dil me yeh khayal hai,
Har pal uth raha bas yehi sawal hai,
Kyu tadapta hu uske liye me itna,
Kya mere bina uska bhi yehi haal hai?

Kyu mere lab muskurana bhool gaye,
Kyu is dil me dard ka sailaab hai,
Dekhta hu usika sapna har waqt,
Kya uske aakho me bhi mera hi khwab hai?

Kya khata hui thi mujhse aisi,
Ke khuda bhi mujhse naraaz hai,
Kyu milti nahi kismat usse,
Kyu kudrat ko is rishte se aitraaz hai?

Kya khoya, Kya paaya,
Kisne rakha iska hisaab hai,
Kyu rehte hai aakho me har waqt aansu,
Kya kisi ke paas is sawal ka jawaab hai?
 
Top