kya Khabar thi mujh se wo itna Khafa ho jaayega

~¤Akash¤~

Prime VIP
sir jhukaaoge to patthar devtaa ho jaayega
itnaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayega

hum bhi dariya hain humein apna hunar maalum hai
jis taraf bhi chal parenge raasta ho jaayega

kitni sachchaii se mujhse zindagi ne keh diya
tu nahin mera to koi dusra ho jaayega

main Khuda ka naam le kar pi raha hoon doston
zehar bhi is mein agar hoga dawaa ho jaayega

rooth jaana to mohabbat ki alaamat hai magar
kya Khabar thi mujh se wo itna Khafa ho jaayega
 
Top