kya karain log jab Khuda ho ja'ain

~¤Akash¤~

Prime VIP
is se pehle k bevafa ho ja'ain
kyon na ai dost hum juda ho ja'ain

tuu bhi heerey se ban gaya pathar
ham bhi kal kya se kya ho ja'ain

ham bhi majabuuriyon ka uzr karen
aur kahin aur mubtala ho ja'ain

ishq bhi khel hai naseebon ka
Khak ho jayain, kimiya ho ja'ain

ab ke gar tu mile to hum tujh se
aise lipaTen teri Qaba ho ja'ain

bandagi ham ne choD di hai 'Faraz'
kya karain log jab Khuda ho ja'ain
 
Top