"kya kabhi pyaar bhi paap hota hai"??????????

~¤Akash¤~

Prime VIP
in tarasti aankhon mein hamesha ek khumaar hota hai
milne k liye tujh se dil hamesha betaab hota hai

shikwe shikayat kare bhi toh kis se hum
har apna hamare dil k pass hota hai..........

pehchaan jate hai log haame jaldi se
bass yeh hi gam hame bar bar hota hai........

jhut nahi bolte magar sach bhi nahin batate
yeh hi afsoos hame baar baar hota hai.........

apno se hi ham aaj kal kyun katrate
kyun hume pyaar ke badle pyaar hota hai.........

duniyan se kya pooche tum hi bata do b e mere khuda
"kya kabhi pyaar bhi paap hota hai"??????????
 
Top