Kya faida hua hai ab intzaar karke?

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kya faida hua hai ab intzaar karke?

Gardish mein aa gaye hain,hum unse pyar karke,

Iss daur mein wafa ka hum karobaar karke,

Dard nibha rahe hain dushman se pyaar karke,

Har shakhs ki nazar mein kehla rahe hain mujrim,

Kuch khaas doston par aitbaar karke,

Ab hum na to iss zameen ke aur na to aasmaan ke,

Ik bewafa ke wade ka aitbaar karke,

Pehle mera janaza taiyaar to main kar loon,

Bhejunga unko phir doli par sawaar karke.
 
Top