Kya ab bhi meri koi baat rolati hai tumhe

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kya ab bhi meri jhalak khwab main nazar aate hai tumhe
Kya meri har yaad ab bhi raat bhar jagati hai tumhe

Har andhera tumhe mujh tak kheench lata tha
Kya ab bhi koi roshni is tarah bulati hai tumhe

Mera har raaz tumhe hawa hi bata jati thi
Kya ab bhi khushbu mere paigham sunati hai tumhe

Meri taqlif per wo aankh main aansu aa jana
Kya ab bhi meri koi baat rolati hai tumhe
 
Top