~¤Akash¤~
Prime VIP
jo log jaan boojh ke naadaan ban gaye
mera Khayaal hai ki vo insaan ban gaye
hum hashr mein gaye magar kuch na poochhiye
vo jaan boojh kar wahaan anjaan ban gaye
majdhaar tak pahunchna to himmat ki baat thi
saahil ke aas paas hi toofan ban gaye
insaniyat ki baat to itni hai sheiKh ji
bad_qismati se aap bhi insaan ban gaye
kaante bahut the daaman-e-fitrat mein ae "Adam"
kuch phool aur kuch mere armaan ban gaye