kuch pane ki aas mein..

~¤Akash¤~

Prime VIP
kuch pane ki aas mein
na jane kya kya kho diya
dil ki lagi kuch aisi lagi
ki khuda bhi ro diya.

usko aisa kya mila
jo humko tanha chodke.
humen paraya mankar
doojon ko apna keh diya.
kuch pane ki aas mein

waqt ka takaja jankar
hum to khamosh reh gaye.
humne dil ki aawaj ko
jinda hi dafan kar diya.
kuch pane ki aas mein..
 
Top