Kuch pal Apne MaaBaba aur apne Gaon ke naam.....

pinks

New member
kitna khubsurat he ye mera pyara gaon..chota he par kitna sacha he
subhe subhe se panchio ki pyara sa awaj Uthadeti hi sabko ...
thandi hawa leati he phulo ki khusboo ko

khet me chala jata he kisan suraj ke ugne se pehele
ghar me dia jalati he bohu betia puja karke...

sam hoti to mandir me puja hoti he
ghanti ki gunj charo taraf sunai deti he
maa Tulsi puja karke ati he
sab bache khel ke ghar aakar podhne beth hain

chota mere gaon me rehete hain bahoto ke baba maa
kitne sare sapne lekar apne liye apne damon me
Bura lagta he hamesa yehi jankar..
kyon bhuljate hain sab bidesh jakar
Apne pita mata ki asa ko karte hain to pura
par unko hi apne se dur karke kahi pardesh me kar dete hain basera

Mera Ek hi he gujarish mere sabhi bhai beheno ko
kabhi samay nikalke thodi der choli jao apne atit ko

yaad karo tumhari wo pyara gaon
jaha pe Tum ne apna chalna sikha apne maababa ki ungali pokad kar

abhi bhi der nahi hui he...
jagjao insan..jo tum ko bode kiye hain ..
kuch samay apni karlo unke naam............
 
Top