koi aahat na ho dar par mere jab tu aaye ....

~¤Akash¤~

Prime VIP
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye

bas gayi hain mere ehsaas main yeh kaisi mehak
koi khusbu main lagaoon teri khusbu aaye

usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
muddato baad meri aankh main aansu aaye

maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aaye ....
 
Top