kiya karein jab log khuda hojayein...

~¤Akash¤~

Prime VIP
is se pehle ke bewafa hojayein...
kion na ae dost hum juda hojayein...
tu bhi heerey se ban gaya pathar...
hum bhi jaane kiya hojayein...
hum agar manzilein na ban payein...
manzilon tak ka raasta hojayein...
dair se soch mein hain parwane...
raakh hojayein ya hawa hojayein...
ab ke gar tu mile to hum tujh se...
aisay liptein ke quba hojayein...
bandagi hum ne chhor di ay dost...
kiya karein jab log khuda hojayein...
 
Top