Kiska thha meri peeth mein khanjar nahin dekha,

~¤Akash¤~

Prime VIP
Galiyon se meri tumne guzar kar nahin dekha,
Gam yeh hai ke khushiyon ne mera ghar nahin dekha,
Mehroom hai woh pyar ki daulat se abhi tak,
Dil jisne kahin apna laga kar nahin dekha,
Gumnaam hai woh phool gulistaan-e-jahan mein,
Khushboo ki tarah jisne bikhar kar nahin dekha,
Aaine fakat uss ki tassali ke liye hai,
Dulhan ki tarah jisne sanwar kar nahin dekha,
Yeh sach hai mera qatl sar-e-aam hua hai,
Kiska thha meri peeth mein khanjar nahin dekha,
 
Top