Kis ne kaha tha usko ghazal mai saja ke la

~¤Akash¤~

Prime VIP
Funkaar hai to haath pay sooraj saja ke la
Bujhta hua diya na muqaabil hawa ke la

Darya ka inteqaam dubo de na ghar tera
Saahil se roz roz na kankar utha ke la

Mohsin ab uska naam hai sab ki zabaan par
Kis ne kaha tha usko ghazal mai saja ke la
 
Top