kis ke jaane ki baat karte ho

~¤Akash¤~

Prime VIP
aashiyaane ki baat karate ho
dil jalaane ki baat karate ho

saari duniya ke ranj-o-gham de kar
muskuraane ki baat karte ho

hum ko apni Khabar nahin yaaro
tum zamaane ki baat karate ho

zikr mera suna to chidh ke kaha
kis diwaane ki baat karte ho

haadsaa tha guzar gaya hoga
kis ke jaane ki baat karte ho
 
Top