Ki jaisae main koi luta hua khazaana thaa,

~¤Akash¤~

Prime VIP
Gammon ne baant liya mujhe yoon aapas mein,
Ki jaisae main koi luta hua khazaana thaa,

Khuli jo ankh to woh tha na woh zamaana tha,
Dehkti aag thee tanhai thee fasaana tha,

Yeh kya chund hee kadmon par thak ke baith gaye,
Tumhein to saath mera door takk nibhaana tha,

Mujhe jo mere lahoo mein dubo ke guzra hai,
Woh koi gair nhin yaar ek puraana tha,

Khud apne hee haath se uss ko kaat diya,
Ki jis darakht kee tahni pe ashiyaana thaa

Gammon ne baant liya mujhe yoon aapas mein,
Ki jaisae main koi luta hua khazaana thaa,
 
Top