khud ko sale legi jaan maut to pwanriye jara aaina chorkar.

~¤Akash¤~

Prime VIP
pachta raha hoon aapse rishte ko todkar,
barbad ho gaya hoon main daaman ko chorkar.
rahne de apne kadmon mein is badnaseeb ko,
jaoonga kaha ab teri chaukhat ko chirkar.
hindu ka ghar alag to musalman ka alag,
milte hain maykade mein to matbhed chorkar.
barse hain moti meri aankh se raatbhar,
chaho to dekh lo mera daman nichrkar.
panghat bhi wo nahi na wo aamon ki chaw hai,
shahron mein kya mila mujhe ganw chorkar.
koshish karke bhi tera bachna muhal hai,
le legi jaan maut to panja maror kar.
ajeet chahte ho sawarne ki gar sanad,
khud ko sawanriye jara aaina chorkar.
 
Top