Khirki, chand, kitab aur main,

~¤Akash¤~

Prime VIP
Khirki, chand, kitab aur main,
Mudat se ik baab aur main,

Shab bhar khailen apas me,
Do ankhain ik khwab aur main,

Mouj aur kashti sahil per,
Dariya me gardaab aur main,

Sham, udaasi, khamoshi,
Kuch kanker talaab aur main,

Har shab pakrey jaty hen "
Gehri neend, Unke khwab aur main....!!
 
Top