khayal-o-khuwab hua barg baar ka mausam

Vishal.Sharma

Dard Bhara Dil
khayal-o-khuwab hua barg baar ka mausam
bichar gaya tere sorat aaitbaar ka mausam

kaye rutoon se mere neem dareechon mein
tehar gaya hai tere intazar ka mausam

wo naram lehjey mein kch tu kahe k loot aao
samatoon ki zameen per phuwaar ka mausam

piyaam ata hai pir ek sar-o-qamat ka
mere wajood ku kheenche hai daar ka mausam

wo aag hai k mere poor poor jalti hai
mere badan ku mila hai chanar ka mausam

rafaqaton k liye naye khuwab khush numa hein magar
guzar chuka hai tere aeitbaar ka mausam

hawa chali tu naye barishen bhi saath aaye
zameen k chehrey per aaya nikhaar ka mausam

wo mera naam liye jaye aur mein us ka naam
laho mein goonj raha hai pukaar ka mausam

qadam rakhe mere khusbo k ghar ku loot aaye
koi bataye muje koye yaar ka mausam

wo rooz aa k muje apna pyar pehnaye
mera garoor hai belay k haar ka mausam

tere tareeq-e-muhabbat pe baar haa soocha
ye jabar tha k tere ikhtiyar ka mausam
 
Top