Khawab

Likh diya hai naam mere naam ki tarah
Kar gaya ye kaam bhi har kaam ki tarah

Main bhi kaatib tha ek zamaane ka adeeb
Tohfe me de gaya kalam aan baan ki tarah

Usne chhed di mujhe ghazlon ki waar se
Takraata raha har waar daro deewar se

Likh deta shahro saaj ek shaam ki tarah
Tha dil me pukhtagi mere imaan ki tarah

Nafrat nahi tha mujhko kabhi us daur me
Ye sila mila hai chahat me jaam ki tarah

Keemti waqt dekar kharide the kuchh khawab
Bik gaya har khawab saajo samaan ki tarah
 
Top