Khaamoshi

Khaamoshee ki bhi jubaan hoti hai, Dil ki baatein bayaan hoti hain.

Khaamosh hain wo bhi,khaamosh hain hum bhi, Phir bhi dil ki haalat bayaan hoti hai.

Hame to hai din raat bas unkaa hi khyaal, Par man hi man uthte hain sawaal.

Wo labon se kuchh kah na paaye, Par aankhon ke jariye unhone pyaar kaa eejhaar kar diyaa.

Hamne bhi Khaamosh rahkar, Kar liya unke pyaar par aitbaar.

Aankhon hi aankhon mein baatein hone lagi, Aur dilon ki betaabi badhane lagi.

Ye khaamoshee kahin hamaaree jaan na le le, Is se pahle ki ham unke dil ke armaano ko chhoolein.

Is khaamoshee mein armaano ka anant prawaah hai, Is khaamoshee mein basee ek aawaj hai.

Is khaamoshee mein basee hai rishton ki taajagee, Is khaamoshee mein basee hai pyaar ki saadgee.

Kijiye hamse apne dil ki baat, Par yoon khaamosh mat rahiye.

Unhone maadak najron se hamaaree taraph dekha, Unhe dekhkar hamaaree aankhein jhook gayee.

Rom rom mein hamaare hayaa bas gayee, Lab khaamosh rahe par najrein saham gayee.

Chaahte hain ham dil se yahi ki, Aap jeevan bhar hamein apnee pyaree najron se dekhte rahein.

Kyonki in pyaaree najron mein, Base hain hamaaree jindagee ke yaadgaar lamhe.
 
Top