Keh Achanak, Sudhar Gia Hon Main

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ek Hunar Hai Jo Kar Gia Hon Main
Sab Ke Dil Se Utar Gia Hon Main

Kaisey Apni Hansi Ko Zabt Karon
Sunn Raha Hon Keh Ghar Gia Hon Main

Kia Bataon Keh Marr Nahin Paata
Jeetey Ji Jab Se Marr Gia Hon Main

Ab Hai Buss Apna Saamna Darpaish
Har Kisi Se Guzar Gia Hon Main

Woh Hi Naaz O’Ada, Woh Hi Ghamzey
Sar Ba Sar Aap Par Gia Hon Main

Ajab Ilzaam Hon Zamaney Ka
Keh Yahan Sab Ke Sar Gia Hon Main

Kabhi Khud Tak Pohanch Nahin Paya
Jab Keh Waan, Umar Bhar Gia Hon Main

Tum Se Jaanan Mila Hon Jis Din Se
Bay’ Tarah, Khud Se Darr Gia Hon Main

Koo – E – Jaanan Mai Sog Barpa Hai
Keh Achanak, Sudhar Gia Hon Main
 
Top