ke patharoon ko bhi gham se rula dia main ne...

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tu aik waqt tha jisko bhula dia main ne
har aik yaad ka gulshan jala dia main ne

wo pyaar jiske qasidey kaee likhe thay kabhi
kitab-e-dil se wo unwaan mita dia main ne

thi apni manzile hasrat jo ik mohabat ki
usey mazaar ka manzar bana dia main ne

na tumse koi gila hai na ab shikayat hai
tumhari raah se khudko hata dia main ne

nazar mila ke jo dekho gay jaan jaao gay
ke kesey tum ko nazar se gira dia main ne

meri wafa ka janaza tha is qadar ghamgeen
ke patharoon ko bhi gham se rula dia main ne.............///
 
Top