ke jis roj bhi meri maiyat uthegi

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ayeena dekh ke bole yeh sanwarrne wale
aab to bemaut marenge mere chaahne wale
keh gaye yeh meri maiyat se guzarne wale
raas aayee na jawaani tujhe marne wale

idhar zindegi ka janaza uthega
udhar zindegi unki dulhan banegi
quamat se pehle quamat hain yaaro
mere samne meri duniya lutegi

jawanee mein pe meri sitamhane walo
jara soch lo kya kahega jamana
idhar mere aarman kaphan orh lenge
udhar unki haatho pe mehendi lagegi

wo parde ke pichhe main parde ke aage
na wo aaye aage na main jaoon pichhe
wo aage barhega to kuchh bhi na hoga
main pichhe hathoonga to duniya hasegi

azal se muhabbat ki dushman hain duniya
kahi do dilo ko yeh milne na degi
idhar meri gardan pe khanjar chalega
udhar unki mathe pe bindiya sajegi

abhi unki hansne ke din hain wo hans le
abhi mere rone ke din hain main ro loon
magar ekdin unko rona parega
ke jis roj bhi meri maiyat uthegi
 
Top