kayi manzilon ka thakaa hua kahin raaston mein luta hua

~¤Akash¤~

Prime VIP
mujhe apne zabt pe naaz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
meri aankh kyon chalak paree mujhe ranj hai ye buraa hua

mujhe raaste mein paraa hua kisi badnaseeb ka khat mila
kahin khon-e-dil se likha hua kahin aansuon se mitaa hua

mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila wohi pukhta-kar-e-wafa mila
na kisi ki chot galat paree na kisi ka teer khataa hua

mere saamne se abhi abhi jo nazar bacha ke guzar gaye
ye mere hi shehar ke log the mere ghar se ghar hai milaa hua

mujhe hamsafar bhi mila koi to meri hi tarah shikashta-haal
kayi manzilon ka thakaa hua kahin raaston mein luta hua
 
Top