Kayaamat tak tera hum intzaar karenge...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
shaan se pyar ka izhar karenge
teri mohabbat pe jaan bhi nisar karenge..
..
dekh k jalegi duniya saari,
is kadar tujhpe aitbaar karenge
..
denge salaami sab humko,
jab pyar ko hum bayaan karenge
..
daulat aur shaurat ka kya hai kaam,
teri khushi mein khudko nichaawar karenge
..
har ghadi ho ba tera deedar
waqt se hum yahi iltijaa karenge
..
saaye ki tarah tujhse lipte rahenge
duniya ki buri nazar se tujhe bachaya karenge
..
dard se na rahe tere taalukat kabhi
khuda se bus yahi fariyad karenge
..
khatam na ho kabhi pyar k silsile
Kayaamat tak tera hum intzaar karenge...!!!
 
Top