kaun is duniya main chahat ka sila deta hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Pyaar karta hai woh yoon jaise saza deta hai
jab hansi aaye labon pe woh rula deta hai
kabhi seene se laga leta hai tehreer meri
kabhi jhutla k woh kagaz ko jala deta hai
kabhi dil main rakh leta hai tasveer meri
kabhi barham ho to har naqsh mita deta hai
kyun dikhate ho zamane ko har ek chot apni
yeh zamana hi to zakhmon ko hawaa deta hai
tor de ehd-e-wafa bhool ja chahat ko
kaun is duniya main chahat ka sila deta hai
 
Top