karuuN na yaad agar

karuuN na yaad agar kis tarah bhulaa_uuN use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uuN use

vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind
main zaKhm-zaKhm huuN phir bhii gale lagaa_uuN use


ye log tazakare karate hain apane logon se
main kaise baat karuuN aur kahaaN se laa_uuN use


magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaa_uuN use

vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaaN
tumhaarii baat pe ai naasiho gaNvaa_uuN use

jo ham_safar sar-e-manzil bichhaD rahaa hai 'Faraz'
ajab nahiin ki agar yaad bhii na aa_uuN use
 
Top