Kar de na lahu ko sard, vo Aazmaana kya hua!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Vo chasm-e-mohabbat ka, Paimaana kya hua !
Hum Qatl bhi huye to, Ey Zamaana, kya hua !!

Har shab pe unka naam, Har shabnam unki !
Na ho Junoon jisme, vo Deewaana kya hua !!

ba-wafa ya be-wafa , per hai saanso me basa !
Judaa hoke bhi humse, vo Begaana kya hua !!

Is qadar ho Asar, Ishk ki Paakizagi ka Jaanaa.N!
Na rok le do pal maut ko, vo Bahaana kya hua!!

Guzar gaya Daur vo, Kasmo.N pe Aitbaar ka !
Kar de na lahu ko sard, vo Aazmaana kya hua!!
 
Top