kaise kahen ki unke gunahgaar hum nahi.....

~¤Akash¤~

Prime VIP
Mana unki nazar mein unka pyaar hum nahi,
kaise kahen ki unke talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab unki raah mein dewaar hum nahi,

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki unke gunahgaar hum nahi.....
 
Top