kaha maine k dewane ko samjhaya nae karte!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
kaha usne bharosa dil par itna nahi karte
kaha maine ki mohabat mein kabhi socha nae karte!

kaha usne bohat khush rang duniya ke nazare hain
kaha maine ki jab tum ho tu kch dehka nahi karte!

kaha usne main tum se dur hun lekin tmhara hun
kaha maine ki sapne dil ko behlaya nahi karte!

kaha usne tumhari chahat mein ruswayan hongi
kaha maine shohrat se ghabraya nahi karte!

kaha usne samjh jao samjh jao ae mere pagal!!
kaha maine k dewane ko samjhaya nae karte!!!
 
Top