kabra khudwakar be-khabar nahin aaya

~¤Akash¤~

Prime VIP
saaya tak uska nazar nahin aaya
kabra khudwakar be-khabar nahin aaya

mujhe sula kar, hua woh ruksat kahin
qateel mera wapas ghar nahin aaya

maut naseeb hui mujhe, saugat ki tarha
jab tak jeeya gam-e-safar nahin aaya

sohrat mili use mere jaane ke baad
mujhse milne wo meri mayyat par nahin aaya

be-sabra nigaah se takta raha magar
sham-ma bujh gayee par meri jaan mera rakeeb nahin aaya
 
Top