kabr par

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya……

main so raha thi chain se, yun hi kafan-e-mazaar mein,
yahan bhi sataane aagaye, kisne pata bata diya……

tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya…..

pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya…..

aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya….

ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya….

main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya….

tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya…..!
 
Top