kabhi-kabhi anjana,ajnabi,

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
kabhi-kabhi anjana,ajnabi,begana-sa lagata hai wo,
aur kabhi-kabhi janamo ka rishta purana lagta hai.
chah kar bhi sulza nahi pati hu ye paheli,
ulaz-ulaz kar rah jati hu is bhanwar me akeli.
kya naam du dil me uthe jazbaaton ko,
chahati hu thaamna, aage badhane se jinko.
janti hu dhokha hai,ek chhalaava hai wo,
fir kuin dil me nami mahsus karti hu main.
ye to main nahi, itni bhi kamzor nahi main,
yun na kisiko mere jazbaaton se,
khelne ka avsar dungi main.
dil ke band darwazon par,
kisiko dastak na dene dungi main.
nahi chahti jivan main ek aur dard, ek aur dhoka,
dil jo pahle se chhalani hai,
use aur na tutne dungi mai.
sambhalungi apne dil ke jazbaaton ko,
inse khelne ka haq kisiko na dungi main.
jab janti hoon apni manzil, apna lakshya,
tab yun kisike peechhe,
aankhen munde na chalungi main.
mod lungi apne kadmo ko,
ye payenge keval apni manzil ko,
yun bhatakne na dungi inko main.
 
Top