Kaanto.N Ko Bhi Wafa Ke Phool De Jayeinge

Hathon Ki Lakeeron Ko Na Mita Payeinge,
Zindagi Hum Tere Har Naaz Uthayeinge.

Koocha-E-Yaar Ko Jana Behad Dushwaar Sahi,
Uske Khwabo.N Main Hi Mehfil Sajayeinge.

Teri Ankho.N Ki Qasam Hum Main Ye Hunar Baqi Hai,
Apni Nazron Se Hi Hum Daastan Likh Jayeinge.

Khuloos-E-Dil Se Koi Haath Barha Kar Dekhe,
Wafa Ki Har Dehleez Se Guzar Jayeinge.

Apna Samjha Hi Nahin, Koi Gila Na Kiya,
Hum Ko Yaqee.N Tha Faasle Barh Jayeinge.

Apni Kamyaabi Ki Bashaarat Kaise Unhein Deta,
Ye Khabar Na Thi Woh Zindagi Se Rooth Jayeinge.

Daulat-E-Dard Ko Duniya Se Chupa Kar Rakha,
Ye Gumaa.N Na Tha Aansoo Samandar Ban Jayeinge.

Zindagi Aur Pecheeda Hoti Gayee Waqt Ke Saath,
Kaun Kehta Hai, Zakhm Waqt Ke Saath Bhar Jayeinge.

Phoolo.N Se Hi Nahi.N ‘Adil’ Tumhein Mohabbat,
Kaanto.N Ko Bhi Wafa Ke Phool De Jayeinge
 
Top