k tum to phir aik haqiqat ho koi khuab nahi!!!!!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Main bhool jaon tumhain yehi munasib hai
magar bholana bhi chahon to kis tarhan bholon
ke tum to phir bhi aik haqiqat ho koi khuaab nahi
bhula saka na yeh woh silsila jo tha hi nahi
woh aik khayal jo awaz tak gaya hi nahi
woh aik baat jo main keh nahi saka tumse
woh aik rabt jo hum main kabhi raha hi nahi
mujhe hai yaad woh sub jo kabhi hoa hi nahi
agar yeh haal hai dil ka to koi samjhaye
tumhain bholana bhi chahon to kis tarhan bholon
k tum to phir aik haqiqat ho koi khuab nahi!!!!!!!
 
Top