juz tere ko_ii

juz tere ko_ii bhii din raat na jaane mere
tuu kahaa.N hai magar ai dost puraane mere


tuu bhii Khushbuu hai magar meraa tajassus bekaar
barq-e-aavaaraa kii maanind Thikhaane mere

shamaa ki lau thii ke vo tuu thaa magar hijr kii raat
der tak rotaa rahaa ko_ii sirhaane mere


Khalq kii beKhabarii hai ke merii rusavaa_ii
log mujh ko hii sunaate hain fasaane mere

luT ke bhii Khush huuN ke ashkon se bharaa hai daaman
dekh Gaarat_gare dil ye bhii Khazaane mere

aaj ik aur baras biit gayaa us ke baGair
jis ke hote hue hote the zamaane mere

kaash tuu bhii merii aavaaz sunataa ho
phir pukaare hai tujhe dil kii sadaa ne mere

kaash tuu bhii kabhii aajaaye masiihaa_ii ko
log aate hain bahut dil ko dukhaane mere

kaash auron kii tarah main bhii kah sakataa
baat sun lii hai merii aaj Khudaa ne mere

tuu hai kis haal mein ai zuud_faraamosh mere
mujh ko to chhiin liyaa ahad-e-vafaa ne mere

chaaraagar yuuN to bahut hain magar ai jaan-e-'Faraz'
juz tere aur ko_ii Gam na jaane mere
 
Top