jogiyon kaa... pataa.... nahin hotaa.......

~¤Akash¤~

Prime VIP
jo..... kisi kaa buraa .....nahin hotaa;
shakhs aisaa .....bhalaa.... nahin hotaa.

doston se...... shikaayatein hongi;
dushmanon se..... gilaa .....nahin hotaa.

har parindaa .....swayam.... banaataa hai;
arsh pe.... raastaa.... nahin hotaa.

ishq ke....... qaaide.... nahin hote;
dard kaa..... falsafaa.... nahin hotaa.

fitratan...... galtiyaan karegaa .....wo;
aadmi..... devtaa.... nahin hotaa.

khat likhoge.... humein.... kahaan aakhir;
jogiyon kaa... pataa.... nahin hotaa.......
 
Top