jo aag bujh rahi thi bhadakaane ko tum aa gaye

~¤Akash¤~

Prime VIP
har kadam par havaa hai kathin waasataa
jine kaa hausalaa dard kaa silsilaa

saans aazaad hai jinaa dushawaar hai
pehele din ke liye bahut pyar hai

ye din gin ke jee rahi hoon aazamaane tum aa gaye
main kab ki mar chukii bataane tum aa gaye

har saanse sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye
jo aag bujh rahi thi bhadakaane ko tum aa gaye



koi kehtaa yahaa zindagi saj gayi
koi kehtaa wahaa zindagi mit gayi

ek tamanna yahaa ek tamanna wahaa
ek bharosa yahaa aur nafarat wahaa

mausam khil rahaathaa dil jalaane tum aa gaye
raste pe main chal padii thii behkaane tum aa gaye

har saans sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye
jo aag bujh rahi thi bhadakaane ko tum aa gaye
 
Top