Jise dii zindgi hamne wahi hamko kabar tak pahuncha gaya....

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kacchi kalam se likhi hogi khuda ne meri kismat,
Isliye to jisne jab chaha mita diya....

Kabhi chaha to de gaye hame mohobbat k kuch pal,
Aur kabhi hamei pal bhar mei hi rula diyaa...

Jaane kaisa dastur hai jise mein ab tak samajh na paayi,
Jisne lagaya baagh wahi mali ise ujaad gaya....

Mila hai mujhko bhi ek tohfa mohobbat ka doston,
Jise dii zindgi hamne wahi hamko kabar tak pahuncha gaya....
 
Top