jis simt bhii dekhuu.N

jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaaN ye ko_ii tum saa hai ke tum ho

ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

is diid kii sa_aat mein ka_ii rang hain larazaaN
main huuN ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho

dekho ye kisii aur kii aaNkhen hain ke merii
dekhuuN ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho

ye umr-e-gurezaa.N kahiin Thahare to ye jaanuuN
har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho

har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa
ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho

ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main huuN
ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho

vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar mein tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho

aabaad ham aashuftaa saron se nahiin maqtal
ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho

ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
 
Top