aarajoo hai wafa kare koi, jee na chaahe to kya kare koi gar marz ho dawa kare koi, marane wale ka kya kare koi un se sab apani apani kahte hain, mera matlab ada kare koi jis mein lakhon baras ki hooren hon, aisi jannat ko kya kare koi