Jinda hai kitne log muhabat kiye bagayar

~¤Akash¤~

Prime VIP
Baand honto se jo ek baat kahi thi maine
Tujhko ab tak meri uss baat ka ehsaas nahi
Mere jazbaat ka tu saaz nahi sun sakta
Kyu mere pyar ki awaaz nahi sun sakta
Aisa lagta hai koi dil hi tere paas nahi
Baand honto se jo ek baat kahi thi maine
Tujhko ab tak meri uss baat ka ehsaas nahi
*
Aaj hum ne dil ka har kissa tamman kar diya
Khud bhi pagal ho gaye tum ko bhi pagal kar diya
*
Jis din suraj ki pehle kiran utari thi jami par
Uss din se main tujhse muhabat karta hun
Ye duniya jab tak baaki hai
Main tera saath na chhodoga
Tere aanchal ke ik jhonkay se
Rukh toofano ke modunga
Jis din se pyar ki rasam chali ae jaan-e-tamana
Uss din se main tujhse muhabat karta hun
*
Humse badal gaya woh nighahien toh kya hua
Jinda hai kitne log muhabat kiye bagayar
Ussko taras gayi hai ye bahien toh kya
Sadma ye jhaylna hai shikayat kiye bagayar
Ae dil gila na kar ki tera pyar chin gaya
Hum jisko chahte thay woh dildaar chhin gaya
chahenge fir bhi hum usse nafrat kiye bagayar
Jinda hai kitne log muhabat kiye bagayar
 
Top