Jane wali chiz ka Gum kya karen

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dil gaya,tum ne liya hum kya karen
Jane wali chiz ka Gum kya karen

Poore honge apne armaan kis tarah
Shauq behad,waqt hai kum,kya karen

Baksh den pyar ki gustakhiyan
Dil hi qaboo mein nahin, hum kya karen

Ek sagar per hai apni zindagi
Rafta rafta is se bhi kum kya karen

Kar chuke sab apni-apni hikamaten
Dum nikalta hai ai mere humdum kya karen

mamla hai aaj husn-o-ishq ka
Dekhiye vo kya karen,hum kya karen
 
Top