Jan Balab hoke wo jalwa Jan-nisarana tera

~¤Akash¤~

Prime VIP
Wo meri mehfil se uth kar yak-ba-yak jana tera
Kar ke tamam kam ko wo kam kar jana tera

Chaarsazi ghamgusari ye teri fitrat nahin
Dard-e-garaan ke liye wo hai murzhana tera

Kya azab hai dastan tarq-e-mohoobat ke liye
Tuz se sharmana mera aur muz se sharmana tera

Haal-e-dauran-e-gardishen aur badtar ho gaye
uf ! siyah raat mein wo julf bikhrana tera

Be-hayai , Be-niyaji , Be-dili , Be-darriyan
Lafz hain Be-noor se goya ke afsana tera

Ta Kamayat din rahe ab raat se vehshat hui
Dil mein fir nashtar chubhone khwab mein aana tera

Baad ke dikhana jlwa-e-pakizgee
Jan Balab hoke wo jalwa Jan-nisarana tera
 
Top