~¤Akash¤~
Prime VIP
nigaho mai kabhi maazi ka afsana nahi aata
magar dil ko kisi surat b behlana nahi aata
howi muddat bari suni parhi hai dil ki mehfil bhi
humari wor (taraf) koi deewana nahi aata
na beh jaye kahi dil se tumhari yaad ki rangat
isse dar se hamai to ashk barsana nahi aata
koi surat to batlado zara dil k behlane ki
tumhare bin hamai to dil ko behlana nahi aata
har ek aahat pe dil mera kehta hai k tu aaya
yeh dhoka hai ! mujhe dil ko samjhana nahi aata
zamane mai ye zakhmi dil ki mehfil aise mehfil hai
jaha apne to atay hai koi begana nahi aata..