Jab Naam Tera Pyar Se Likhti Hai Unglian

Jab Naam Tera Pyar Se Likhti Hai Unglian
Meri Taraf Zamane Ki Uth Ti Hai Ungalian


Daman Sanam Ka Hath Mein Aaya Tha Ek Pal
Din-Raat Usi Pal Se Mahakti Hai Ungalian

Jis Din Se Door Ho Gaye Us Din Se Hi Sanam
Bus Din Tumhare Aane Ke Ginti Hai Ungalian


Pathar Tarash Kar Na Bana Taj Ek Naya
Fankar Ki Jahan Mein Kati Hai Ungalian
 
Top