Jab kalam liya haath mein, Ghazal bann gaye tum

Vishal.Sharma

Dard Bhara Dil
Jab kalam liya haath mein, Ghazal bann gaye tum,
Jab bhi nazar uthaayi, Nazaara ban gaye tum,
Jab bhi kuch kehna chaha, Ishaara bann gaye tum,
Dooba jab jazbaat ke samandar mein, Saahil bann gaye tum,

Kehne ko tha bahut kuch, Par kuch na keh saki main,
Bina kuch kahe, Bahut kuch keh gaye tum,
Haathon mein tha haath jab, Doori thi dilon mein,
Aaj doori hai hum mein magar,bahut kareeb aa gaye ho tum,

Jab bhi saans li maine, Hawa bann gaye tum,
Jab bhi dua mein haath uthaaye, Dua bann gaye tum,
Jab bhi chalak gayi aankhen, Aansoon ban gaye tum,
Nahin jaan saki main, Jaane kab meri dhadkan ban gaye tum...
 
Top